Category: Faiz Ahmed Faiz

  • Jo Rukey To Koh-e-Garan Thay Hum

    Na ganwa’o navak-e-neemkash, dil-e-reza reza ganwa diya jo bache hain sang samet lo, tan-e-daagh daagh lutaa diya   mere chaaragar ko naveed ho, saf-e-dushmana ko khabar karo woh jo qarz rakhtay thay jaan par wo hisaab aaj chuka diya   karo kaj jabeen pe sar-e-kafan, mere qaatilon ko gumaan na ho ke ghuroor-e-ishq ka baankpan,…

  • Tanhayee

    Phir koi aaya dil-e-zaar! nahin, koi nahinRaahru ho ga, kahin aur chala jaayegaDhal chuki raat, bikharnay laga taaron ka ghubaarLarkharaanay lagay aivaanon mein khaabeeda chiraaghSo gayee raasta tak tak ke her ik raahguzaarAjnabi khaak ne dhundlaa diye qadmon ke suraaghGul karo shamein, barha do mai-o-meena-o-ayyaaghApnay bekhaab kivaaron ko muqqafil kar loAb yahaan koi nahin, koi…

  • Nisaar Mein Teri Galiyon Ke Aye Watan

    nisaar mein teri galiyon ke ae watan, ki jahaaN chale hai rasm ki koe na sar uThaa ke chale jo koe chaahanewaalaa tawaaf ko nikale nazar churaa ke chale, jism-o-jaaN bachaa ke chale hai ahl-e-dil ke liye ab ye nazm-e-bast-o-kushaad ki sang-o-Khisht muqayyad hain aur sag aazaad bahot hain zulm ke dast-e-bahaanaa-juu ke liye jo…

  • Mozoo’-e-Sukhan (Gul Hui Jaati Hai…)

    Mozoo’-e-Sukhan Gul hui jaati hai afsurdah sulagti hui shaam, Dhul ke niklegi chasma’ee maahtaab se raat, Aur mushtaaq nigaahon ki suni jaayegi, Aur un haathon se mas honge, Yeh tarse hue haath. Un ka aanchal hai keh rukhsaar keh pairaahan hai, Kuch toh hai jis se hoti hai chilman rangeen, Jaane us zulf ki mauhoom…