ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota,
ya mera taj gadayana banaya hota
khaksaari ke liye garche banaya tha mujhe,
kaaash sang-e-dar-e-jaanana banaya hota
nasha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko,
umr ka tang na paimana banaya hota
dil-e-sid chaak banaya to bala se lekin,
zulf-e-maskeen ka teri shaanah banaya hota
sufion ke jo na tha laeq-e-sohbat to mujhe,
qaabil-e-jalsa-e-rindaana banaya hota
tha jalana hii agar douri-e-saqi se mujhe,
to chiraag-e-dar-e-mai khana banaya hota
apna deewana banaya mujhe hota tune
kyun khiradmand banaya na banaya hota
sholaa-e-husn chaman mein na dikhaaya us ne
varanaa bulbul ko bhii parwana banayaa hota
roz maamura-e-duniya mein kharabi hain “zafar”,
aisi basti ko to veerana banaya hota!