Sitaron se aage jahan aur bhi hain…


Sitaron se aage jahan aur bhi hain
Abhi ishq ke imtehan aur bhi hain
Tahi zindagi se nahin ye fizayen
Yahan siakdon karwaan aur bhi hain
Khana’at na kar aalam-e-rang-o-bu par
Chaman aur bhi aashiyaan aur bhi hain
Agar kho gaya ek nasheman to kya ghum
Maqmat-e-aah-o-fughaan aur bhi hain
Tu shaheen hai parvwaaz hai kaam tera
Tere saamne aasmaan aur bhi hain
Isi roz-o-shab main ulajh kar na rah ja
Ke tere zameen par makaan aur bhi hain
Gaye din ke tanha tha main anjuman mein
Yahaan ab mere raazdaan aur bhi hain

Translation:

Beyond the stars there are worlds more
Our quest yet has more tests to pass
This existence alone does not matter
There are boundless journeys more
Do not rest on what you have
There are paradises more to explore
Why worry if you have lost one abode
There are a million addresses to claim
You are the falcon, your passion is flight
And you have skies more to transcend
Lose not yourself in the cycle of days and nights
Within your reach are feats even more
Gone is the day when I was lonesome in the crowd
Today those who resonate my thoughts are more

Mohammed Iqbal
Naujawaan ke Naam, Bal-e-Jibraeel, 1908

,

14 responses to “Sitaron se aage jahan aur bhi hain…”

  1. Salam,

    What can I say about this poem. What was the level of thinking of this great thinker.

    But can you please explain to me whom Allama Iqbal (RA) was referring to in the last line ‘yahaan ab mere raazdaan aur bhi hain’?

  2. my grandpa was just crazy for allahma iqbal.
    dis is d reason for his crazyness.
    i really loved it,,,,,
    a good way for motivation.

  3. I think Allama sahab humein aagay barne per uksa rahe hein like first stanza.
    lekin ye humarey liey sharm ki baat he k hum Allama ki poetry ko parh kr wah wah to kar dety hein but Amal ni karty.

  4. Iqbal says;

    Kabhi Tanhaayi-e-Koh-o-Daman Ishq
    Kabhi Soz-o-Suroor-o-Anjuman Ishq
    Kabhi Sarmaya-e-Mehraab-o-Membar
    Kabhi Mola Ali Khyber Shikan Ishq

    I’m biggggggggggggggest Fannnnnnnnnnnn of Dr.Allama Iqbal R.A

  5. Could somebody provide me a resource where in I can find his work with roman urdu translation.

  6. I like sher o shayari etc but sometimes cant exactly follow not knowing the meaning of words .
    Here whats the meaning of “tahi” ?
    Thank you.

  7. superb I don’t have words to describe the greatness of this. Translation in Roman helped me understand more but Khiyaloon ko alfaaz Jo Urdu mein milte hai go kissi aur zabaan mein nahi milte.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.