Category: Faiz Ahmed Faiz

  • Mere Dil Mere Musafir

    mere dil mere musafir hua phir se hukm sadir ke vatan badar hon hum tum dein gali gali sadayen karen rukh nagar nagar ka ke surag koi payen kisi yar-e-namabar ka har ek ajnabi se poochen jo pata tha apne ghar ka sar-e-ku-e-nashanayan hamein din se rat karna kabhi is se bat karna kabhi us…

  • Hum Ke Thehre Ajnabee

    hum ke Thairey ajnabi itni madaraatooN ke baad phir banain gaiN aashnaa kitni mulaqatooN ke baad Kab nazar maiN aaey ge bai_daGh sabzey ki bahar Khoon ke dhabbey dhulain gaiN kitni barsaatooN ke baad dil to chaaha par shikasht-e-dil nay muhlat he na di kuch giley shikvey bhi kar laitey manajaatooN ke baad thay buhat…

  • Aaj Bazaar Mein Pa Ba jolan Chalo

    Chashm-e-nam, jaan-e-shoreeda kafi nahin Tohmat-e-ishq-posheeda kafi nahin aaj bazaar mein pa-bajolan chalo Dast afshan chalo, mast-o-raqsan chalo Khak bar sar chalo, khoon badaman chalo Rah takta hai sub shehr-e-janaan chalo Hakim-e-shehr bhi, majma-e-aam bhi Teer-e-ilzam bhi, sang-e-dushnam bhi Subh-e-nashaad bhi, roz-e-naakaam bhi Unka dum-saaz apnay siwa kaun hai Shehr-e-janaan main ab baa-sifa kaun hai Dast-e-qatil…

  • Dasht-e-Tanhaai

    dasht-e-tanhaai mein, ai jaan-e-jahaan, larzaan hain In the desert of my solitude, oh love of my life, quiverteri avaaz ke saaye, the shadows of your voice,tere honthon ke saraab the mirage of your lips dasht-e-tanhaai mein, In the desert of my solitude,duri ke khas-o-khaak talebeneath the dust and ashes of distancekhil rahe hain tere pehlu…